Friday, July 13, 2018

Barish



Barish mere liye Bahut hi khushi ka zariya hhai..
Is ki bundein man ko ek azab sa sukun deti hain...
lagta hai barson ki pyaas bundon ne khud mei samet li hon...
mere gamo ko wo tassali dety hai aur kehti hai ke.... 
jis tarha shadid garmi ke baad hum barse, 
aur yun barse ke zameen bhi shairab ho gayi..
tumhari zindagi bhi ek din khusyun se labraiz ho jayegi... 
us din tum muskura uthogi aur dua ke liye haath utha kar kahogi 
"Rab Tera sukhr hai jo har mushkil ke baad ek sukoon ka lamha diya hai."
 

Kayi saal in baarisho ki motiyon ko dekh ker usse chu kar gujar gaye .
Her saal yahi Ehsaas panapta hai ... 

her saal yaahi aarzoein jawaan bhi hoti hain ....
khwahesein machalti hain...
 

Yahi baarish..
mere muskurane ki wajah ban jaati hai...
aur dil be-sakhta kahta hai..
"Barish Tera sukhriya..."

3 comments: